BlogsEntertainment News

An ode to women

Kyun aurat ke muqadar mein tootna hee likha hai
Aisa kyun hai ke mazboot aurat zamaanae se bardasht nahi hotee
Kyun zehni aur jismani taur pe aurat ki ruh ko kuchalnae pe sab amaada ho jaatae hein
Kyun aurat ko eik makhlooq nahi samjha jaata
Kya aurat ke jazbon ki koi wuqat nahi
Kya aurat ko khaawb sajaanae ka haq nahi
Kyun aurat ko izaat ka haqdaar nahi samjha jaata
Akhir kab tak aurat zulm ki chaki mein pistee rahe gee
Kabhi apni chaar deevaari ke muhafizon ke haathon
Kabhi us chaardeevari ke bahaar shaitanon ke hathon
Kab tak akhir aurat azmaish ke naam pe ruswa hotee rahe gee
Woh awaaz uthayae tou chup kara dee jaye
Woh qaddam barhaae tou pairon mein beriyaan daal dee jayen
Akhir kab tak ?
In tamaam rukawaton ke baavajud aurat  sabr o tahamul se
Bahaaduri se, sar utha ke, hauslae aur himat se, agayae barhtee rahe gee
Woh asmaanon mein urnae ke liye par tolti rahe gee
Khuda ke hisaab se tou “wajud e zan se hei kainaat mein rang”
Kyun phir ye dunia aurat ko berang dekhna pasand kartee hei
Beshak mein eik aurat hon magar us se pehle apne Rab ki makhlooq hon
Aur is bin ape;
Aazadi
Izat
aur insaaf ki har taur haqdaar hon

Author credits: Hira Hyder

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button